Sunday, 5 June 2011

Bewafa Shayari


Maali
ne
diwaar
pe
likh
diya
k
phool torna
gunah
hy
kash
*KHUDA*
b
“SEENY”
pe likh deta k dil torna gunah hai…

**********************************************************

Chand ne kaha
Q Usko Yad karty ho jo
Tujhe Jawab nhi deta?
.
Mene Chand ko
Muskura ker kaha
Jis din tu nhi Chamkta
to
Kiya Tera Aasman
Tujhe Chor deta hy.

**********************************************************

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aai Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga

**********************************************************


Tu bhi kisi ka pyaar na paaye khuda kare
tujh ko bhi tera naseeb rolaaye khuda kare

raatoon mein tujh ko niind na aaye khuda kare
tu bhi dar-ba-dar ki thokrein khaaye khuda kare

aaye bahaar tere gulistaan mein baar baar
tujh par kabhi nikhaar na aaye khuda kare

meri tarah tujhe bhi javaani me gham milein
tu bhi duaa ko haath uthaaye khuda kare

tujh par shab-visaal ki raatein haraam hoon
shammein jala jala ke bujhaaye khuda kare

ho jaaein sab bad-duaaein meri dosto galat
abh us be-waffa pe koi harf na aaye khuda kare

**********************************************************

Mujhe khabar thi woh mera nahin paraya tha
Per dharkanon ne Usi ko Khuda banaya tha

Main khawab khawab jise doondhta phira barson
Woh ashk ashk meri aankh mein samaya tha

Tera qasoor nahin jaan ,meri tanhayi
Yeh roag main ne hi, khud jaan ko lagaya tha

**********************************************************

os sy juda to ho gaya per un laga mujhy

jesy jahan main koi apna nahin raha

wo bewafa nahin mager itna zaroor hai

pehly wo jis terha ka tha ab wesa nahi raha

**********************************************************

Dard me koi mousam pyara nahi hota,

Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.

Koi dekhe to humari bebasi,

Hum sabhi k ho jate hain

Par koi humara nahi hota.

**********************************************************

Galti hoi k use jaan se bi ziada chahny lage

.

.

Kia pata tha meri itni wafa use bewafa kar de Gi..!

**********************************************************
Dil se dil ka rabta acha lga
Aj usko sochna acha lga

Jaty jaty akhri lamhat me
Mur kr uska dekhna acha lga

Zindgi bhar us ne jo kuch b kia
Uska hr ek fesla acha lga

Hr tarf thi bewafa logo ki bher
Bus hmko ik wo hi bawafa acha lga

Keun mohabt ho gai us se
Kya batyen hmko us me kya kya acha lga.

**********************************************************

Tum Agar Yaad Rakho Gey to Inayat Hogi,
Warna ham ko Kahan Tum se Shikayat Hogi,
Ye to Bewafa logon ki Dunya hai,
Tum agar Bhool b Jao to Riwayat Hogi.

**********************************************************

**********************************************************

Hamein Pata Tha K Teri Muhabat K
"Jaam" Mein "Zehar" hai "


BEWAFA
Lekin.!

Tere Pilany Mein Khaloos itNa Tha k
HuM Thukra Na Skay... !

**********************************************************

"Wo Kitna Meharban Tha Ke Hazaron Ghum De Gaya", WASI

" Hum Kitne Khud Gharz Nikle Kuch Na De Sakay Pyar Ke Siwa.

**********************************************************

Ma¡ Ne Kaha K

Mujhay Chhor Do
Ya Tor Do.!



Wo Be-Wafa Hans
K BoLi:

iTnay Nayaab KhiLonay Roz Kahan MiLTay Hain.

**********************************************************

Juda hony ka andesha,
juda hony se pehly tha!

Wo mujh se intihai khush, khafa hony se pehly tha!

Junoon ka daur guzra tou mujhe bi bhool betha wo,

Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hony se pehly tha!

Main kese soch sakta tha mujhy
wo chorh jayega,

Bohat hi ba'wafa wo, bewafa hony se pehly tha!

**********************************************************

,FARAZ,,Tari Is bewafai per fida hoti hai jaan apni,,
Khuda hi janey tum men agar wafa hoti to kya hota....

**********************************************************

Tm Kyu Bane Thy Dil Ka Sahara Jawab Do

Ab Kya Hua Wo Pyar Tumhara Jawab Do

Kis Ko Tha Naz Apni Adaon Pe Har Ghari

Kis Ne Kya Wafa Se Kinara Jwab Do

Hum To Seh Na Saken Ge Judai Ka Gham

Ye Qoul Tha Mera K Tumhara Jawab Do

Ek Tarf Zindgi Ek Tarf Mout Hai

Ab Kis Tarf Karo Ge Ishara Jawab Do

**********************************************************

Karoon to kis liye aakhir karoon malal us ka,
usey nahin to mujhey bhi nahin khayal us ka,

Meri wafa ne banaya hai bewafa us ko,
Kisi ada par nahin hai kamal us ka,

Mere naseeb ki yeh bhi to khush naseebi hai,
Ke mujh ko dekh ke sab pochte hain hal us ka,

Yehi doa main karon har baras ke pehley din,
Mere bagher na guzre koi bhi saal us ka,

Mere urooj ko us ke naseeb main likh dey,
KHUDA-E-PAK mujhey soonp de zawaal us ka

**********************************************************

Wafa ka naam na lo

Wafa ab dil dukhati hai

Sach to ye hai wafa ka naam lene se

Phir aik be-wafa ki yaad ati hai.

**********************************************************

Na poch mere sabr ki intha kahan tk hy,

Tu sitm kr teri taqat jahan tk hy,

Wafa ki umed jisne ki hogi usne ki hogi,

Mje to dakhna hy k tu bewafa kahan tk hy

**********************************************************

“Agar Tum Kisi Ko Dhoka Dene Main Kameyab Ho Jao To
Ye Matt Samjho K
“Wo Kitna
Bewakoof Hai”

Balkay Ye Socho K
“Use Tum Pe Etbar Kitna Tha..

**********************************************************


Is dunia me wafa karne walo ki kami nai hai FARAZ,


Bs payar hi us se ho jata hai jo Bewafa ho.

**********************************************************

Yun To Koi Bhi Tanha Nahi Hota,
Chah Kar Bhi Kisi Se Juda Nahi Hota,
Mohabbat Ko Majboori Le Doobti Hai,
Warna Koi Khushi Se Bewafa Nahi Hota !!!

*********************************************************

“Kash samjhte wo es dil ki tarap ko”

“To yun na hamein tanha kiya hota”

“Unnki berukhi bhi manzor thi hamein”

“Bus aik bar hamein samajh to liya hota”.

**********************************************************

Samjha Lo Apne Dil Ko Pyaar Na Kare
Meri Fitrat Hai Bewafai Izhar Na Kare
Humse Paoge Dhoka Tum Yaad Rekhna
Pehle Hee Kahte Hai Koi Humara Aetbaar Na Kare

**********************************************************

Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye,
Hum Bawafai Ke Saath Jeena Seekh Gaye,
Kya Batayein Kis Kadar Dil Toota Hai Mera,


Maut Se Pehle, Kafan Aud Ker Sona Seekh Gaye….!

**********************************************************

Kya mila us bewafa ko hm sy naata torr kar


" FaizaN "

Aaj khod b tanha phir raha hai hm ko tanha chor kr.

**********************************************************

Dil bhar jata Hai Logon ka HUM se sirf chand hi lamhon mein..!!
"aye Dost"

Pata nahi ye dunya Bewafa hai ya mujh mein koi kami hai..

**********************************************************

Teri Bewafai Ne Mera Ye Hal Kar Dia Hai,

"". Sagar .''''

Mein Nahi Rota Log Mujhe Dekh Kar Rote Hain..

**********************************************************

bevafaa tere ruuTh jaane se

aaNkh miltii nahiiN zamaane se



aarizaa ho gayaa hai rone kaa

chand ghaRiyoN ke muskuraane se



kitne tuufaaN uTheNge saahil par

ek kashtii ke Duub jaane se



DhuuNd aayaa tujhe zamaane meN

tum kahaaN gum ho ek zamaane se



ab to duniyaa se jaa rahaa huuN maiN

lauT aao isii bahaane se



kis qadar baRh gayii hai lazzat-e-Gham

shiddat-e-Gham meN muskuraane se...

**********************************************************

Aag Dil Me Lagi Jab wo khafa hue
Mehsoos hua Tab,
Jab wo Juda hue

Karke wafa Kuchh DE Na Sake wo
Per Bahut Kuchh De Gaye Jb wo Bewafa hue.

**********************************************************

**********************************************************

KUCH TO HY TU BADAL GYA HY!
.
Wo teri ankhon k khawb sary wo batin sari hisab sary swal sary
Jwab sary
Wo khushain sari
Azab sary
nsha tha jo wo utr giya hy,
.
KUCH TO HAI TU BADAL GYA HAI! Jo tery milny ki arzo thi
Jo tujko pany ki justju thi
Hui jo chahat abi shuro thi
Jo teri ankhon main roshni thi jo teri baton ki rangini thi
Jo teri sanson ki tazgi thi
Jo try lehjy main chashni thi wo sra meetha pighal gya hy
.
KUCH TO HY TU BDAL GYA HY"

**********************************************************

Wo Mahfil Me Apni Wafa Ka Tzkra Kar Rahe The

Gull


Nazar Jo Ham Pe Pari To Mozoo Hi Badal Diya..

**********************************************************

Ma¡ Ne Kaha K

Mujhay Chhor Do
Ya Tor Do.!



Wo Be-Wafa Hans
K BoLi:

iTnay Nayaab KhiLonay Roz Kahan MiLTay Hain.

**********************************************************

Juda hony ka andesha,
juda hony se pehly tha!

Wo mujh se intihai khush, khafa hony se pehly tha!

Junoon ka daur guzra tou mujhe bi bhool betha wo,

Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hony se pehly tha!

Main kese soch sakta tha mujhy
wo chorh jayega,

Bohat hi ba'wafa wo, bewafa hony se pehly tha!

**********************************************************

Mil hi jayein gay hum ko bhi kuch log 'faraz'

Shehar ka shehar baywafa to nahi ho sakta,

**********************************************************

"Hum b bikne gaye the Bazaar-E-Dosti mein...!"

faraz

"Kya pata tha wafa walon ko log kharida nahi kerte...;-(;-(;-(

**********************************************************

HAr kiSi kI zInDaGi kA aIk hI mAqSaD hAi FaRaZ

kHuD bHaLaY hO bEwAfA lEkIn tAlAsH wAfA kI hAi.....!

**********************************************************

Ye bEwafA zinDaGi bhi tUMhArAY naam karTay hAin faRaz,,
,
,
sunA hAi kh0oB bANti hAi beWafA se beWafA ki .../

**********************************************************

BEQASOOR NAHI TU BEWAFA HAI

Dill mein tere bas dagha hai

tuje kia ahsaas hai kisi ka

dil to to apna hi jala hai

BEQASOOR NAHI TU BEWAFA HAI

teri jafa se anjaan tha me

ki thi muhabat nadan tha me

sirf dard hi tum ne diya hai

BEQASOOR NAHI TU BEWAFA HAI...

**********************************************************

Koi Chahta Hai Kisi Ko Apnanay K Liye,

Koi Chahta Hai Kisi Ko Tanhai Say Bachanay K Liye.


Mujhy Bhi Kisi Ne Chaha Tha,

Sirf Apna Dil Behlanay K liye.


**********************************************************

**********************************************************

0 comments:

Post a Comment